Health & Nutrition
Gehu Atta Aur Maida Mein Kya Antar Hai
Urban Anaj Team
12 Nov 2026
1 views
Bahut log gehu atta aur maida ko ek hi samajhte hain, lekin dono mein bada antar hai.
Gehu atta poore gehu ke dane ko piskar banaya jata hai, jisme bran aur germ dono shaamil rehte hain. Isiliye gehu atta mein fiber, protein aur vitamins zyada hote hain.
Maida sirf gehu ke andar ke white endosperm part ko piskar banaya jata hai, jisme se bran aur germ hata diye jaate hain. Isse maida mein fiber kam hota hai aur ye jaldi pach jata hai, lekin poshtik tatva bhi kam ho jaate hain.
Isliye roti, paratha jaise daily khaane ke liye gehu atta hi sehat ke liye behtar option hai. Urban Anaj ka Gehu Atta order milne ke baad chakki par taza pisa jata hai, taaki aapko sabse poshtik aur taza atta mile.